Mujhe itna pyar na do baba ..
Kal jane mujhe naseeb na ho..
Ye jo matha chuma karte ho ..
Kal is per shikan ajeeb na ho..
Mein jab bhi roti hun baba,
Tum ansu poncha karte ho..
Mujhe itni dur na bhejana,
Mein roun aur tum kareeb na ho…
Mujhe itna pyar na do baba ..
Kal jane mujhe naseeb na ho..
Ye jo matha chuma karte ho ..
Kal is per shikan ajeeb na ho..
Mein jab bhi roti hun baba,
Tum ansu poncha karte ho..
Mujhe itni dur na bhejana,
Mein roun aur tum kareeb na ho…
Log mohabbat ko khuda ka naam dete hai,
Agar koi karta hai to ilzam dete hai….
Kehte hai ki pathar dil roya nahi karte,
To pahado se jharne kyun baha karte hai….!!
Unse pyar kiya yeh pyar ki hadd thi,
Usko dil diya yeh aitbaar ki hadd thi,
Mar gaye aur aankhein khuli rakhi…
Yeh tumhare intezaar ki hadd thi…!!
Har waqt mera saya tere sath haii
Par tera saath mere saath nahii
Tanha rehti hu main in char diwaro main
Usko to iss baat ka bhi ehsaas nahii….!!
Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,
Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,
Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,
Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata
Kab say hai hum ko yeh intezaar
Kar do na tum bhi iqraar
Bus keh do ki hai tum ko bhi
Hai tum ko bhi utna hi pyar
Tera diwana hoon, inkaar nahi
Kaise keh doon kay tujhse pyar nahi
Kuch shararat teri aankho ki bhi hai
Main tanhaa to gunehgaar nahi
Pyar kehte hain, mohabbat kehte hain
Kuch log isay bandagi kehte hain
Magar jin pay hain hum martay
Hum unhain zindagi kehte hain
Muskurate Hai To Bijliya Gira Dete Hein
Baat Karte Hein To Deewana Bana Dete Hein
Husan walo Ki Nazar Kam Nahi Kyamat Se
Aag Pani Me Vo Nazaro Se Laga Dete Hein.