Teri doli uthi, Meri mayyat uthi,
Phool tujh par bhi barse, Phool mujh par bhi barse,
Farq sirf itna sa tha,
Tu saj gayi, mujhe sajaya gaya .
Tu bhi ghar ko chali,
Main bi ghar ko chala,
Farq sirf itna sa tha,
Tu uth ke gayi, mujhe uthaya gaya .
Mehfil wahan bhi thi,
Log yahan bhi the,
Farq sirf itna sa tha
Unka hasna wahan,
Inka rona yahan.
Kazi udhar bhi tha, Molvi idhar bhi tha,
Do bol tere pade, Do bol mere pade,
Tera nikah pada, Mera janaaza pada,
Farq sirf itna sa tha
Tujhe apnaya gaya ,
Mujhe dafnaya gaya.
Beti says:
Mujhe itna pyar na do baba ..
Kal jane mujhe naseeb na ho..
Ye jo matha chuma karte ho ..
Kal is per shikan ajeeb na ho..
Mein jab bhi roti hun baba,
Tum ansu poncha karte ho..
Mujhe itni dur na bhejana,
Mein roun aur tum kareeb na ho…
Mujhe itna pyar na do baba – continue reading…
Log mohabbat ko khuda ka naam dete hai,
Agar koi karta hai to ilzam dete hai….
Kehte hai ki pathar dil roya nahi karte,
To pahado se jharne kyun baha karte hai….!!
Unse pyar kiya yeh pyar ki hadd thi,
Usko dil diya yeh aitbaar ki hadd thi,
Mar gaye aur aankhein khuli rakhi…
Yeh tumhare intezaar ki hadd thi…!!
Har waqt mera saya tere sath haii
Par tera saath mere saath nahii
Tanha rehti hu main in char diwaro main
Usko to iss baat ka bhi ehsaas nahii….!!
Kab say hai hum ko yeh intezaar
Kar do na tum bhi iqraar
Bus keh do ki hai tum ko bhi
Hai tum ko bhi utna hi pyar
Tera diwana hoon, inkaar nahi
Kaise keh doon kay tujhse pyar nahi
Kuch shararat teri aankho ki bhi hai
Main tanhaa to gunehgaar nahi
Pyar kehte hain, mohabbat kehte hain
Kuch log isay bandagi kehte hain
Magar jin pay hain hum martay
Hum unhain zindagi kehte hain
Muskurate Hai To Bijliya Gira Dete Hein
Baat Karte Hein To Deewana Bana Dete Hein
Husan walo Ki Nazar Kam Nahi Kyamat Se
Aag Pani Me Vo Nazaro Se Laga Dete Hein.
Dil Ki Duniya Akeley Hi Basaie Hogi
Dil Ki Arthi Akeley Hi Uthayi Hogi;
Aa Sek Duun Gun Guney Aasuoon Se
Dil Kuchalte Hue Tujhey Chot To aai Hogi.
Mujhe dard-e-ishq ki sazaa malum hai,
Dard-e-dil ki inteha malum hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua na dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa malum hai.
Sab se chhupa kar dard jo woh muskura diya…,
Uski hansi ne to aaj mujhe rula diya…;
Lehje se uth raha tha har ikk dard ka dhuaan…,
Chehra bata raha tha ke kuchh ganwaa diya..!!!
Chandi raat me barsat buri lagti hai,
ghar me ho lash to Barat buri lagti hai,
Khushi me mere dost kuch bhi kah dal,
gam me to har bat buri lagti hai.
Hamne anjaane me unhe rula diya,
Unhone duniya ke liye hume bhula diya,
hum to pehle se hi tanha the,
kya hua jo unhone akelepan ka ehsaas phir dila diya..!
Zinda hun is tarah kii
Gham-e-zindagi hii nahin rahi merii
Jalta hua diya to hun par kambakht
Roshini-si hii nahin rahi merii
Kya Gunah Ki Humne – continue reading…
Ek ladki ko chalte dekhkar, ek ladke ne awaaz dee
“Ae diwanee, peeche mudkar dekhm tera dupatta jameen se ghisa jaa raha hai.”
Ladki ne jawab diya
Dupatta – continue reading…
Humne aansuon se pooch, “Kyun mera mazaak banate ho? Sabke samne hi chale aate ho.”
Aansu bola, “Mehfil mein bhi aapko tanha paate hain to saath dene chale aate hain!“