Pyaar Hai

  • Posted on March 7, 2007 at 2:49 pm

Usne kaha mujhse kitna pyar hai…
Maine kaha sitaron ka koi shumar nahin
Usne kaha ki kyun tumhen hai bahut aziz ?
Maine kaha, dil pey jis ka ikhtiyar hai

Usne kaha Kyun sa Tofah tumhen main doon
Maine kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai
Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz…
Maine kaha, qurb ka matlab bahar hai……

Usne kaha senkron gham zindagi main hain
Maine kaha gham nahin,jab ghamgasar saath hai
Usne kaha saath kahan tak nibhao gay…?
Maine kaha jitni yeh saans ki taar hai……

Usne kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah
Main ney kaha, naam mera aitbaar hai….!!!

Sorry, the comment form is now closed.