Some Shayaris

January 11, 2007

Some Shayaris :


Pyar karke dekha hai
Pyar mein bhi dhokha hai
Pyar karne walon ko
Aksar rote dekha hai!!

Kadam – Kadam pe hawaon se taalluk rakhna
Dost ke daur pe dosti ka asra rakhna
Hamari yaadon ki khusboo jarur aayegi
Bas apne dil ka darwaza khula rakhna!!

Koi ankhon – ankhon se baat kar leta hai
Koi ankhon – ankhon mein mulakat kar leta hai
Mushkil hota hai jawab dena
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai!!

Zindagi ki rahon mein tumhe jo gam milenge
Mere hauslon se kam milenge
Jab khud ko tanha pao kabhi
Bas yaad karna aur samne hum milenge!!

Zindagi mautaaz nahi manzilon ki
Waqt har manzil dikha deta hai
Marta nahi koi kisi se juda hoke
Waqt sab ko jina sikha deta hai!!

Ah Barish jara tham ke baras
Jab mera yaar aa jaaye toh jam ke baras
Pehle naa baras ki woh aa naa sake
Phir itna baras ki woh jaa naa sake!!

Meri arthi par sangdil daal dena
Apna lal dupatta kafan samajhkar
araam se so sakunga kabra mein
Apne haath mein tera daman samajhkar!!

Comments are closed.

Previous Post
«
Next Post
»